Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kya dhoondh rahi hai

Syed Ata Abbas · 2017

kya dhoond rahi hai jangal may sakinaabbas ke baazu ya baba ka seena1. Manga tha shahe dee'n ne jise shab ki duao'n meinhai aaj wo shehzadi maqtal ki fizao'n meinnaazo ki pali ka mushkil hua jeenakya dhoond rahi....2. Jalte hue daman ko rote hue takti haishabbir ki masooma is tarha sisakti haizakhmi hua haye shehzadi ka seenakya dhoond rahi....3. Wo dard hai kaano mein behta hai lahu tazakoi nahi kar sakta in zakhmo ka andazawo durro ka khana wo ashko ka peenakya dhoond rahi....4. Zalim se koi kehde ye naazo ki paali haiaye waaye sitam ghum mein chadar ki sawali haiab kaise milegi ammu se hazeenakya dhoond rahi....5. Saqqa e sakina ko neend aa gayi darya parzakhmo ka kafan pehne soye hai abhi sarwarpayegi na ye bachhi ab baba ka seenakya dhoond rahi....6. Zadd par hai mazalim ke ye phool si mazloomamaqtal se kaha'n jaye shabbir ki masoomatoofa'n mein ghira hai sarwar ka safeenakya dhoond rahi....7. Ammu se koi kehde zinda'n mein tadapti haidarwaza e zinda'n par is aas mein baithi haimai bhi kabhi dekhungi phir shehre madinakya dhoond rahi....8. Mar jaungi aye baba aaye na agar leneye ho hi nahi sakta aaye na khabar lenebaba se koi kehde roti hai hazeenakya dhoond rahi....9. Wo waqt e judayi ho halaat ki majboorisarwar se sakina ki ab tak nahi gayi doorimaqtal mein anguthi hai zinda'n mein nageenakya dhoond rahi....10. Qismat pe zafar jiske likhi na thi azaditaa maut ata haye bhooli nahi shehzadiwo zakhmo mein marna, wo zakhmo mein jeenakya dhoond rahi hai jangal may sakina

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.