Koi na raha sannata haiMaqtal se yahi aati thi sada, koi na raha sannata haiPardes mein aakar kaun luta, koi na raha sannata haiAllah ye kaisa manzar hai, jo laash bhi hai wo besar hai..(2)behta hai yaha'n khoo'n ka darya, koi na raha sannata haiHai aaj fezaae'n bhi ghamgee'n, laasho'n ke sarhane koi nahi..(2)chhayi hai falak par gham ki ghata, koi na raha sannata haiKuch khaime nazar aate hai jale, aur sukhe huwe toote kooze..(2)kya qafela tha ye pyaaso ka, koi na raha sannata haiYe laash hai kis shehzade ki, kis tarha hua seena zakhmi..(2)qismat ne sitam kis maa pe kiya, koi na raha sannata haiHai qadd mein barabar do laashe, doobe hai lahu ke darya mein..(2)dono ko ajal ne loot liya, koi na raha sannata haiYe maara gaya hai kaun hasee'n, sehra hai kahin kangna hai kahin..(2)kaisa ye sitam duniya ne kiya, koi na raha sannata haiEk sher pada hai sahil par, haibat ka abhi tak ye hai asar..(2)sehmi sehmi chalti hai hawa, koi na raha sannata haiHar simt udaasi chhayi hai, teero'n pe kise neend aayi hai..(2)Be goro kafan laasha hai pada, koi na raha sannata haiMaqtal se yahi aati thi sada, koi na raha sannata hai
Koi na raha sannata hai
Miscellaneous · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.