Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiJahan me aaj imam e Ali ka matam haiYatim ho gaye Zehra ke dono lakhte jigarSuna rahe hai yeh noha Hussain ko QumbarAli wali ki sada hai Ali ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiZamin roti hai yeh aasmaan rota haiGhame Ali me yeh sara jahaan rota haiKhuda ke sher Nabi ke wasi ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiDile Batool ko zalim ne taar taar kiyaKhuda ke ghar me khuda ke wali pe waar kiyaYeh ek sadi ka nahi har sadi ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiHamare ghar ka masiha nazar nahi aataJo roti deta tha fizza nazar nahi aataKe is jahan me khuda ke sakhi ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiJo ek waar me dushman pachhad deta hai2 ungliyo se woh khaiber ukhad deta haiKhuda ke sher khuda ke jali ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam haiNabi ke bhai Irfan hue itne sitamBayan kaise karega yeh Muazzam ka qalamAli Ali ki sada hai Ali ka matam haiKhuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai
Khuda Ke Ghar Mein Khuda Ke Wali Ka Matam Hai
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.