Kaarwaa'n Kaarwaa'n.....(4)Berida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)Noke naiza par bhi sheh(as) ka..(2) imtehaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)1) Naa nazar aaye khula behno'n ka sar ye sochkar.....(2)Ban k Zehra(sa) ka pisar khud..(2) ik Qur'aan chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)2) Has rahe the dekhkar binte Ali(as) ko ahle shaamKyu'n qayamat aayi naa kyu'n..(2) ye jahaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)3) Hai bahot mazloom bhi beemaar bhi laachaar bhi.....(2)Tauq-o-zanjeero'n mein jakda..(2) naatawaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)4) Farq-e-Akbar(as) par padi thi Umm-e-Laila ki nazar.....(2)Qalb par maadar k khanjar..(2) ik nihaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)5) Apne bhai pe hamesha misl-e-saaya jo rahi.....(2)Saaye mein nazro'n k uski..(2) bezubaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)6) Naa koi waaris raha naa hi koi tha gham gusaar.....(2)Khoon aankho'n se bahaaye..(2) saarbaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)7) Sar nahi rukta tha naize pe sakhi Abbas(as) ka.....(2)Yu'n jari bankar hai ghairat..(2) ka nishaa'n chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)8) Kyu'n naa sar peete kare'n girya ye "Imran-o-Shabih".....(2)Jab Imaam-e-waqt bhi..(2) girya kunaa chalta rahaBerida baazaar mein ik kaarwaa'n chalta raha.....(2)Kaarwaa'n Kaarwaa'n.....(4)..............Shukr-e-Maula(as)..............
Karwaan chalta raha
Imran Mehdi · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.