Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Karbal se shaam qaidi wo

Hassan Sadiq · 2008

[Karbal se shaam, qaidi wo] ×2(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Maqtal mai(n) chaarsu ab ik hu ka hai aalamNa Ghazi alamdar na Akber hai na Qasim(Nok-e-Sina pe ab sabhi naazo(n) ke pale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Fil Qurba ki ayat ki ye tafseer hai logoNok-e-Sina pe chadar-e-Tatheer hai logo(Lash-e-parhe hain her taraf aur khaime jale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Zehra ki laadli pe yeh kya waqat hai aayaNa sar pe rida aur na babul ka hai saaya(Aal-e-Abaa pe isterha haaye waqt dhale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Noha kuna zameen hai khoo(n) roya aasmaa(n)Paband-e-salasal hai(n) chale meer-e-Karawa(n)(Khoo(n) ro rahe hai(n) khaar jo paao(n) ke tale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2Panjetan ke dar se tujhko qalam ataa hai"Khursheed" tujh ko Saani-e-Zehra ki dua hai(Tere sukhan ke phool yeh abhi phool phale hai(n)) x2Ik zulm ki zanjeer mai(n), behno ke gale hai(n)(Yu(n) Karbala se Abid-e-Beemar chale hai(n)) x2[Karbal se shaam, qaidi wo] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.