Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kaisa yeh safar hai

Rizwan Rizvi · 2018

Ghar ka sukoon chod ke lo jaa raha husainKaisa yeh safar haiKaisa yeh safar hai.Qurbaan hone jaa rahe sab lakhte jigar hain.Kaisa yeh safar haiKaisa yeh safar hai.Battis baras ka bhai haiZainab ka saath haiKadiyal jawaan qaasimoAkbar bhi saath hain.Lagta hai jaise sog meHar shamso qamar hai.Kaisa yeh safar hai.......Sughra tadap rahi haiMujhe saath le chalo.Tanha mai jee na paaungiHumraah le chalo.Seene se lagaaye bani hashim ka qamar hai.Kaisa yeh safar hai......Maa ki lahed pe aaye hain .Rukhsat ko shahedee.Turbat pe sar ko rakhte hueMaa ko sada dee.Amma salaame aankhri loJaata pesar hai.Kaisa yeh safar hai.....Ek ek sawaar hokeAmaari me bibiyan.Mahmil me chalin leke yehYeh ghar baar bibiyaan.Hat tee hi nahin bhai seSughara ki nazar hai.Kaisa yeh safar hai........Haatho me alam thaame alamdar chala haiSaqqa e haram ka siph e salar chala haiHar simt phela huwa noorani asar haiKaisa yeh safar hai.......Sughara bahen se lag ke gale roi zaar zaar.Har bibiyoun ki aas hainAbbass e alamdaar.Pardes me jo guzregiYeh sabko khabar hai.Kaisa yeh safar hai......Mud mud ke bhai dekhta deudhee pe baar baar.Sughara main lene aaoungaKarna tum intezaar.Haafiz khuda tumhaaraHume karna sabar haiKaisa yeh safar hai.....Lamha bhi woh ajeeb tha kaisa sada armaan.Apne labon se jiskoBayaan kar gaya rizwaanAasoon bahaati sunke jiseSabki nazar hai.Kaisa yeh safar hai.....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.