Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kaash Abbas Na Maray Jaatey

Adeel Raza · 2012

Kaash abbas na maray jaatey (x5)Dono bazoo woh shehenshaa hai wafa key thaameyLaashey abbas pey shabbir bukah kartey theyBhai tum baad hamarey jaateyKaash abbas na maray jaatey (x2)Is tarha lagh ti naa akber key kalejey mein sinah,Is tarha hoti naa sadaat key khaimo mei fughaanYun naa zainab key saharey jaateyKaash abbas na maray jaatey (x2)Ghardaney shaa pey yun ran mei naa khanjar chaltaYun naa khursheede imamat sarey maqtal dhaltaYun na sar neyzooh pey sar jaateyKaash abbas na maray jaatey (x2)Hotey abbas dilawar to na khaimey jalteyShaam-e-Ghurbaat na sakina ko tamachey laghteyGhosh waarey naa utarey jaateyKaash abbas na maray jaatey (x2)Hotey abbas to chinti naa rida zainab kiPaawo mei aabid-e-muztar key na beyri daltiTaaziyaane bhi naa marey jaateyKaash abbas na maray jaatey (x2)Hokey paabande rasan sayyad-e-sajjad chaleyNeher ko deikh ke rotey huwey yeh kehney lagheySab watan saath hamarey jaateyKaash abbass na maray jaatay (x2)Aaj bhi aati hai yeh qabrey sakina sey sadaaAei chacha laati naa zindaan mei yun hamko qazaSaath aghar hum bhi tumhare jaateyKash abbas na mare jatay (x2)Haal-e-Akber jo koi pooch ta tha noor-e-aliRo key zainab yahi kehti thi sadaa noor-e-aliKaash abbas na maray jaatey

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.