Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Kaanpi zameen hil gaya, sadme se aasman

Dasta Ansar E Akbaria as Baltistani · 2020

Ya Hussain, Ya HussainYa Hussain, Ya Hussain..(4)Ya Hussain, Shah Hussain, Ya hussainKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)Zahra ka laal hogaya..(2), maqtal mein be amaa'nKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)1. Maqtal mein be amaan tha shabbir ka badansir nange roke kehti thi mazloom ki bahenbhaiyya tumhare waaste..(2), dhundhu kafan kaha'nKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)2. Wo bacche jo rasool ke dil ka sukoon thedarya kanare unke khayaam jal gayeummat ne phir bhi di nahi..(2), sadaat ko amaanKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)3. Bosa liya hai khaak ne zahra ke laal kaqurbaan hone dasht mein taara utar gayasajda lahu mein tarr hua..(2), roti rahi azaa'nKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)4. Dekha badan jo bhai ka teero'n ke darmiyaa'ndasht e bala ki khaak par zainab ne ki fughaa'nbaba madad ko aaiyye..(2), bhai hai be amaanKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)5. Pyaase ko ek boond bhi paani nahi milasukhe gale pe dasht mein khanjar rawa huarokar kaha ghareeb ne..(2), ghazi ho tum kaha'nKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)6. Bete paas dasht mein maadar jab aayi thipamaal laash dekh ke yaawar hussain kiyaad aagayi batool ko..(2), mohsin ki dastaa'nKaa'npi zameen hil gaya sadme se aasmaa'n..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.