Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Jaao baba jaldi laut aana

Safdar Abbas · 2004

Rakh ke sar seena e sarwar pe sakina bolichhod kar ammu gaye aur gaye sab bhaiab na mera sabr aazmanajao baba jaldi laut aana..(4)1. Baad aapke hume ye ashkiya'n sataengemai kise bulaungi gauhar jo cheene jaengeye laee'n jalaenge hamare khaimagaah bhiaap agar na aae to ye mujhpe zulm dhaengeseh nahi sakungi taziyana2. Janti hu mai ke sakht aapka hai imtehaa'naap be watan, ghareeb tashna lab hai babajaa'nkar rahi hu mai dua khuda ki baargaah meinjaa rahe hai aap jo sitamgaro ke darmiyaa'nhogaya hai sang dil zamana3. Keh gaye the ammu jaan ran se laut aaengepani mere waaste wo alqama se laengeitne zakhm sehke dil pe kis tarha jiyungi maitanha chhod kar mujhe ab aap ran ko jaengekis qadar kathin hai ghum chupana4. Der hogayi jo aapko to kya karungi maiaapke baghair raat ko na so sakungi maiaap jo na aaye aur ban me raat hogayibeqaraar aap aur besukoo rahungi maijaake ran me na mujhe bhulana5. Hai ajeeb waqt kaise aapko juda karukaise aapko mai baba jaan alwida kahumarziye khuda ke saamne zubaan band haidil magar ye keh raha hai aapko mai rok luhai naseeb me ye ghum uthana6. zalimo ko is qadar hai dushmani kyu aapseband kardiye hai karbala ke saare raastepehre itne sakht kar diye labe furaat parfauje ashqiya khadi hai alqama ke saamnepani mere waaste na laana7. Jaanti hu tashnagi se khushk hai mera galagarm hai hawa sulag rahi hai rege karbalamere jaanesaar saare ran me jaake sogayemera dasht me hai kaun sirf aapke siwameri tashnagi ko bhool jaana8. Kaise aapki madad karu mujhe bataiyebaba aap tanha fauje shaam me na jaiyesubho se gaya jo ran me laut kar na aa sakaaap laut aaenge mujhe yaqee'n dilaiyeya mujhe bhi ran me tum bulaana9. De rahi hu aapko khuda ki mai panaah meinaanch aae koi aap par na qatl gaah meinhaath jod kar ye arz kar rahi hu babajaa'nran me aap ho jahan rahe meri nigaah meindoor na meri nazar se jaana10. Safdar e hazee'n ye bayn sunke shahe behrobarbole waqt e imtehaa'n hai shaahzadi sabr karran ko jaa raha hai tashna lab ghareeb bekhataae sakina laut kar na aaega tera padarab na kehke tu mujhe rulaanajaao baba jaldi laut aana..(8)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.