Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Islam pe ehsaan hai zehra ke bhare ghar ka

Anjuman e Mohibbane Hussain · 2015

Ehsaa’n hai kate sar ka, ehsaa’n hai khule sar kaIslam pe ehsaa’n hai, Zehra ke bhare ghar kaKya zauq e bandagi hai, sajde mein jaake kehnaMaalik qabool kar le, hadiya jawaa’n pisar kaMajboor hai ye behna, be-dard Zamana haiKarne bhi nahi’n deta, maatam ye biradar kaBe-tegh aaya Gaazi, roka nahi’n kisi neKya faaeda hai zaalim, do laakh ke lashkar kaRoya kiye hain Aabid, Aashoor se ajal takDo chaar ka nahi’n hai, sadma hai bhare ghar kaKyon dekhke Asgar ko, tujhko hayaa na aayiAye Hurmula bataa kya, dil tera hai patthar kaNa-mehramo’n ki nazrein, Zainab se bachaane koKarne lagaa tilaawat, sar naize pe Sarwar kaPaaya hai zaanoo Sheh ka, rumaal e Sayyada bhiHoga na Hur ke jaisa, sultan muqaddar kaBe-haal kar diya hai, Aal e Nabi ko tu neKya koi darr nahi’n hai, zaalim tujhe Mehshar kaAsgar ki maut tak thi, dariya pe pehredaariKitna zaleel o badtar, manshaa tha sitamgar kaRooh e ‘Salim’ nikle farsh e azaa pe yaa RabYe zindagi to yu’n bhi, sadqa hai bahattar ka

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.