Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ishq e mann karbobala

Ali akbar ameen · 2018

Karbala ishq ka onwan nazar aati haiDin e Mabood ki pehchan nazar aati haiKhair o shar ke lie mizan nazar aati haiKalbe momin ke lie jaan nazar aati haiZindagi karbobalaBandagi karbobalaRoshni karbobalaAagahi karbobalaMeri saanso ko sare arze najaf chhod aayaOr dil chhod ke aaya hon sare karbobalaSath may laya hon bus fatema zehra ki duaGhazi abbas ke parcham ke pharere ki hawaJub watan ko pohchaHer hussaini ne kahaZaere karbobalaMarhaba sad marhabaKarbala mera najaf say hai hua esa safarEk jannat say kia dusri jannat ka safarIshq e shabbir ka or ishq e Ali ka tha safarBa khuda sath malaik ke hua mera safarAmbiya sath raheyAwliya sath raheyOwsiya sath raheyOr sada dete raheyKarbala kaba e dil qibla wafadari kaKarbala naam hai mazloom ki ghamkhari kaKarbala sadiyon say maktab rahi bedaari kaKarbala aaj bhi markaz hai azadari kaNoor e haq shamme haramIshq e sarwer ki kasamKarbala ka hai karamHaq ka ocha hai alamKarbala pyas e musafir ki kahani bankarKahi abbas ki akbar ki jawani bankarKahi qasim kahi asgar ki nishani bankarHer azadar ki aakhon may hai pani bankarKarbala tashna labiChashme momin ki namiKarbala khoon e aliMakhtal e aale nabiKaisa badla hai ye zehra ki dua ne manzarKal na ro paye jaha ehle haram pyaro'n parWaha purse ke lie aaj hazaro hai basharKis kadar shan say barpa hai aza e sarwerNoor e gham roohe azaArz e girya o bukaNoha matam ki sadaPursa e shahe hodaBus yahi akbar o salman hamari hai duaHer baras roza e sarwer pay karey hum sajdaJub talak zinda rahey jaate rahey karbobalaOr markar bhi mayyasar hoe humaey khake shifaHum jo chhodey ye chamanOr lehed may hoe badanKarbala ka hoe kafanHoe labo par ye sukhan

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.