Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Hussain Zindabad

Shozab Abbas · 2022

Fatima ka qalb, noore ain zindabadZaate Murtuza ke dil ke chain ZindabadHo raha hai ban me shor o shain zindabadZindabad Karbala Hussain Zindabad (2)HussainZindabad Karbala Hussain ZindabadAarahi hai arsh se sadaye kibriyaKarbala me aake keh rahe hain AnbiyaZindabad karbala Hussain Zindabad (2)Asr ki ghadi hai karbala ki khaak haiAur Shabab khuld ka jigar bhi chaak haiAale mustafa pe waqt karb naak haiAaftab ki tapish bhi theek thaak haiAise me ye keh rahi hai khaake Karbala (2)Nainawa Hussain ki Hussain ka KhudaZindabad karbala Hussain Zindabad (2)Karbala azal se imtehan ki hai jaaKarbala me zaqm kha chuke hain AnbiyaKarbala ke karb ki na thi koi dawaKarbala me maangti thi karbala panahPar Hussain ke lahu ka hai ye Maujiza (2)Aaj karbala ki khaak me bhi hai ShifaZindabad karbala Hussain Zindabad (2)Dehr me zameen ki Jabee'n hai karbalaKhuld ke makeen ki zamee'n hai KarbalaKhoone shaahe deen ki amee'n hai karbalaIs liye hame bahut Hasee'n hai karbalaNoore Chashm Fatima Ali ke dil ka chain (2)Hashr tak yahan pa bas gaye hain HussainZindabad Karbala Hussain Zindabad (2)Anbiya o Auliya o Ausiya ImamKarte hain Salam karbala ko Subha shaamSoye hain yahan pe jis ghadi se tashna kaamLete hain adab se saare karbala ka naamBe kafan ki laash ne ye Mojiza kiya (2)Chahiye Kafan sabhi ko karbala hi kaZindabad Karbala Hussain Zindabad (2)Shah ne jo dashte nainawa khareed liAsl me toh qabr ki jagah khareed liRoshni bujhake khud Ziya khareed liSaath me khuda ki har Reza khareed liDeene Mustafa bacha hai aap se Hussain (2)Zikr kibriya bacha hai aapse HussainZindabad Karbala Hussain Zindabad (2)Jis tarha Hussain ne basayi KarbalaJis tarha se ban me apna ghar luta diyaJis tarha se asr tak saji thi qatl gaahAur jis tarha hua wahan Khuda KhudaHashr tak wo Daastan Khud sunayegi (2)Karbala Hussain ko na bhool payegiZindabad Karbala Hussain ZindabadArsh o farsh ki sadaHussain ZindabadKeh raha hai khud khuda Hussain ZindabadHai Sadaye MustafaHussain ZindabadBol uthe hain Murtuza Hussain ZindabadHai Hamara vird KyaHussain ZindabadHai Hamara deen Kya Hussain zindabadHai hamari fikr kyaHussain ZindabadHai labon pa zikr Kya Hussain ZindabadRooh me Basa huaAur lahu me daurtaIbteda ki intehaInteha ki ibtedaHussain ZindabadHussain ZindabadHussain Hussain Hussian Zindabad (2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.