Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Hussain waaye

Ali akbar ameen · 2016

Ya hussain...ya hussain(4)Ek qafela hai ek bayaba'n(2)Ek bhai hai khahar e zeesha'n hai(2)Paresha'n hai paresha'n hai paresha'n hai,Loot jaae na ghar baar harasa'n haiHussain waaye...hussain waye....(6)1)Ashoor ko zainab ne kaha haye;Aye sibte payambar mere ma jaye;Aye mere baradar mere sarmaye;Khoo[n] tera na is dasht me bah jaeBaradar....judai hai dushwaarMera dil....ghamon se hai bezaarTere bin....ye jeena hai bekaarNa jao, aye bhayya....na jao, aye bhayyaDekhiye tow sare karbala..ya hussainlaashe he laashe hai...ya husainHer taraf zulm ki dhoop hai...ya hussainkhof ke saae haiEk qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye...(4)2)Is dashte bala ka hai ajab manzar;Har simt sitamgaron ka hai lashkar;Jin logo ke hatho me nahi khanjar;Jholi me liye baithe hain wo patthar;Ye dushman....sataenge hame;Safar bhar ....rulaenge hame;Khule sar....phiraenge hame;Na jao, aye bhayya...na jao, aye bhayyaEk qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye...(4)3)Lamhaat hain bhayya ye bade hassas;Akbar hain na qasim na jari abbas;Atfaal hain khaimon me pade be aas;Tanhaiye zainab ka karo ehsaas;Qasam hai....tumhe nana kiQasam hai....tumhe baba kiQasam hai....tumhe amma kiNa jao, aye bhayya.. na jao, aye bhayyaChadar e chhin lengy adu; berida hongy hum;Khaengy durr e ehle haram; aale khairul umamEk qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye..(4)4)Darya pe setamgaron ka hai qabza;Khaimon me nahi paani ka ek qatra;Abbas bhi soe hain lab e darya;Tum pyase hi mar jaoge kya bhayyaMain amma....Ko kya doongi jawabJo pochhengi.....hokar wo betaabRaha kyun .....mera bachha be aabNa jao, aye bhayya...na jao, aye bhayyaEk qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye...(4)5)Hamsheer se kahne lage ye sarwar;Islam bachana hai mujhe khahar;Tayyar mere qatl pe hai lashkar;Chalne ko hai gardan pa meri khanjar;Museebat....me ahmad ki hai aal;Hawaley....tere ahl o ayaal;Sakeena ....ka bhi rakhna khayaal;Na ghabra aye zainab...na ghabra aye zainabAabid e khastatan na tawaN or bimar hai;HaN tere qafele ka behen ab vo sadar hai..Ek qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye...(4)6)Sarwar se judai ki na thi aadat;Tar ashkon se dilgeer ki thi soorat;Bhai ne jo hamsheer ko di himmat;Shabbeer ko zainab ne kiya rukhsat;Zaba[n] se.....bahan ne kah diyaAye bhayya....Khuda hafiz teraMagar dil..... yahi kahta rahaNa jao, aye bhayya.... na jao, aye bhayyaEk qafela hai ek bayaba'n haiEk bhai hai ek khahar e zeesha'n haiHusain waye, Husain waye...(4)7)Naushad jo maqtal ko gae maula;The khasta jigar pyas ka tha ghalba;Seh roz se aaqa tha mera tashna;Har simt se pyase pe hua hamla;Sitamgar....Ka jo khanjar chalaJuda sar....shahe dee[n] ka huaAbhi tak....ye aati hai sadaNa jao, aye bhayya....na jao, aye bhayyaHussaina Hussaina Hussaina(6)Ey azadar paigham e sheh yaad rakh subho sham;Sidqo iman o ilmo amal gharato insejaam;Ey kanizane zaianb rahey sir pay chadar modam;Her husaini rahe muntazir aarahe hai imam....Ya Mehdi Ya Mehdi(8)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.