Weqaare deen e khuda hai, hussain ka matamPayambaro ne kiya hai, hussain ka matamWeqaare deen...1. Zamana laakh mukhalif ho, ruk nahi sakta..(2)ke fatema ki dua hai, hussain ka matam2. Yazeed isse badi aur kya hai teri shikast..(2)ke tere ghar me bapa hai, hussain ka matam3. Khuda, rasool, farishte, imam sab hai wahan..(2)jahan kahin bhi bapa hai, hussain ka matam4. Khabar nahi hai ye fatwe farosh mufti ko..(2)ali ke ghar se chala hai, hussain ka matam5. Kisi bhi ghayr ke darr par wo kaise phaylega..(2)jo haath karta raha hai, hussain ka matam6. Aye binte fatema zehra teri ataa ke tufayl..(2)hame naseeb hua hai, hussain ka matam7. Baroz e hashr khabar lenge uski payghambar..(2)jise khabar nahi kya hai, hussain ka matam8. Wilaye aale nabi ki tarha se mir hasan..(2)mere lahu me mila hai, hussain ka matamWeqaare deen e khuda hai, hussain ka matam..(2)
Hussain ka matam
Mir Hasan Mir · 2005
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.