Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Hussain Hussain Hussain

Mohammad Raza Gopalpuri · 2017

Hussain Hussain Hussain1. Musibaton me hai Hussain, Aziyaton me hai HussainMashaqqaton me hai Hussain, Kin aafaton me hai hussain.Wo dasht e Nainawa,  Waaye Waaye WaayeBala ka samena,         Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.2. Na Muslim ibn e Ausaja, na Jon o Wahb e ba safa(sachha)Na hain Zohair e khush ada(nek kirdar), na ab Habib e ba wafa.Ameer e be kasa, Waaye Waaye WaayeImam e inso ja,     Waaye Waaye Waaye.Hussain Hussain Hussain.3. Chala jo Qasim bin Hasan, Khezaon me tha gulbadan(phul jaisa badan)Tha chaak band e pairahan(khula hua gareban), kafan ho jaise zeb e tan.(badan par kafan)Wo tifl e mehlaqa(chand ka tukrha), Waaye Waaye WaayeSumo(ghorhe ke taap) me pis gaya, Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.4. Ajab hai waqt e imteha, sahar me jisne di azaUsi ke seene par sina, tarhap raha hai naujawan.Shabih e Mustafa, Waaye Waaye WaayeLahu lahu hua,    Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.5. Wo aarzu e Murtaza, jab apne ghorhe se giraThe bazu shaano se juda, do neem farq e ba wafa.(sar ke do hisse )Wo mu ke bal gira,  Waaye Waaye WaayeSakeena ka chacha, Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.6. Rabab ka who mehjabi(chand si peshani), ghareeb maa ka naazni(nazo me pala)Shaheed e teer e ahl e kee, ab apne jhoole me nahiPedar ka ladla,  Waaye Waaye WaayeShaheed ho gaya,  Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.7. Qateel e arz e karbala, aseer e dasht e nainawaShaheed e raah e kibriya(allah), hua hai zibha be khataGhareeb o be watan, Waaye Waaye WaayeParha hai be kafan,   Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.8. Behan ne ro ke di sada, teri ghareebi par fidaTera na laasha uth saka, sada rahungi ghamzadaTu be kafan raha, Waaye Waaye WaayeHui mai be rida, Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.9. Sakeena ki wo hichkiyan, wo mu pe khana seliya(tamache)Hua lawo se khoo rawa, chhini jo uski baaliya.Yateema par setam, Waaye Waaye WaayeYe sin ye dard o gham, Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.10. Wo nauha shamshad ne likha, hai qalb e momin ghamzadaUthi jo matam ki sada, to arsh e aazam hil gaya,Hain aankhen sab ki nam, Waaye Waaye WaayeRahe sada ye gham, Waaye Waaye WaayeHussain Hussain Hussain.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.