Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Gham-e-hussain

Farhan · 2008

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Gham-e-hussainDekh kay giryao matamhar aik farsh-e-aza perduay karta hoon mola(a.s)[jub talak hai yeh jahan] ×2hai dua meray khuda(j.j)[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×2Jub talak hai yeh jahan, hai dua meray khuda(j.j)[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×2Teray huzoor dua mangtay hai ahl-e-azaKubool kar lay bahakay rasool(s.a.w) sub ki duaHamesha baki rahay zikr-e-shahenshahay wafaAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Zamana laakh badalta rahay nigah magarDilon say mitnay nahi paye karbala ka asarAzan kay saath karay matmi sada bhi safarAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Jub chala zikr tera dil nay mangi yeh dua[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Yazedi fikr ko tu khaak may milata rahayFaza may perchamay abbas(a.s) lahlahata rahayHussaini(a.s) azm yazeedon ka sar jhukata rahayAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Sar jo sajday may gaya hum nay so baar kaha[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Ghamay hussain(a.s) ko mehfooz rakh jafaon sayHussainiat(a.s) ka shajar door ho khizaon saySaja diya hai musalay ko in duaon sayAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Lab kusha jub bhi huwa har hussaini(a.s) nay kaha[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Hamaray zakhmo ka marham hai yeh azay hussain(a.s)Sub hi ibadatay kartay hai hum baray-e-hussain(a.s)Labo pay taba qayamat sada ho haaye hussain(a.s)Ay khuda(j.j) ay khuda(j.j)In duao(n) may khuda(j.j) saath hai karbobala[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Rahay wafa may kabhi dagmaga na paye qadamHamaray dosh pay lehraye ba wafa ka alamHamaray azm say larza rahay yeh ahl-e-sitamAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Jub bicha farsh-e-aza matmi kehnay laga[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Yeh majlise bhi khuda(j.j) madresoon say kam to nahiTera rasool bhi kehta hai sirf hum to nahiGhamay hussain(a.s) bara hai hamara ghum to nahiAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Apnay ghum bhol gaya jis nay rokar yeh kaha[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Wikare majliso matam barhatay jayengayCharagh ashk-e- aza jalatay jayengayHussaini(a.s) fikr dilo may jagatay jayengayAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Jub kalam chalnay laga keh uthi fikr-e-rasa[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×4Yahi akeeda hai "farhan" aur "mazhar" kaKay ek qabelay kay afrad hai yeh ahl-e-azaYeh nawha khwan yeh shair sabhi ki hai yeh sadaAy khuda(j.j) ay khuda(j.j)Hum rahay ya na rahay rahay baki yeh sada[Gham-e-Hussain rahe, ye azadar rahe] ×8

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.