Haye sadaat, haye haye shaam..(2)raaho mein sitam ehle haram ne jo saha hai, fizza ko pata hai..(2)Be aas aseero ne safar kaise kiya hai, fizza ko pata hairaaho mein sitam...1. Jab ehle haram shaam ke bazaar mein aayechehro ko chupaye..(2)kis tarha ta'arruf nabi zaadi ka hua hai, fizza ko pata hai2. Ye zulm bhi dekha gaya bazaar ke andarmaare gaye patthar..(2)khoo kis tarha peshaniye zainab se baha hai, fizza ko pata hai3. Jab abid e beemar se pucha gaya maulakaha gham the ziyada..(2)kyu teen dafa rote hue shaam kaha hai, fizza ko pata hai4. Jab aankho ke aage kabhi aajata tha paaniashko ki zabani..(2)jo marsiya shehzadi sakina ne padha hai, fizza ko pata hai5. Wo margayi zindaan ki tareeki mein guthkarshabbir ki dukhtar..(2)kis tarha se abid ne use dafn kiya hai, fizza ko pata hai6. Jab chut ke haram qaid se yasrab gaye 'sahil'tha waqt wo mushkil..(2)kis haal mein sughra se 'raza' kunba mila hai, fizza ko pata hairaaho mein sitam ehle haram ne jo saha hai, fizza ko pata hai
Fizza ko pata hai
Sahil Jaunpuri · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.