Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Faryad karo

Ali Safdar · 2013

Faryad karo..(8)Ye yusuf e zahra kehte hai jis waqt hume tum yaad karoFaryad karo..(4)Tum shaam ke ghum me rote raho tum karbobala ko yaad karoFaryad karo..(4)Phat jaye ye ghaibat ka parda tum maula ki imdaad karoFaryad karo..(4)1. Is shiddat se faryad karo har saans me unki yaad aaejaise koi baap bichad jae jaise koi beta marr jaefaryad karo rote hai bohot ghaibat ki musibat me maulaFaryad karo..(6)2. Wo phool hai chaand hai narjis ka wo noor ka darya kesa haiankho ka qaraar aur dil ka sukoo wo yusuf e zehra kesa hairehta hai wo parda e ghaibat me hum dekh nahi sakte chehraFaryad karo..(6)3. Wo khoon ke aansu rote hai humlog nahi tayyar zaragirya karna hai tumko bhi jis tarha tadapte hai maulakya haq hai warise zahra ka faryad ka haq jo hai bantaFaryad karo..(6)4. Jaa di hai azadari ke liye ab unke yateem kaha jaeHar ghar se janaze kitne uthe kis tarha tadapti hai maaeUn maao ko un bachho ko mil jae sukoo mango ye duaFaryad karo..(6)5. Maula ye ghulam jo aap ke hai apne amaal pe nadim haimajlis me jo behte hai ansu zahra ke dil ka marham haizahra ka waris aata hai fauran hi bicha do farshe azaFaryad karo..(6)6. Do wasta madar e ghazi ka abbas ke daste bureeda kaqasim ke ek ek tukde ka do wasta umme farwa kaho jae zahoor jo maula ka har maa ko mile uska betaFaryad karo..(6)7. Beparda haram par rota hai sar nauke sina pe sarwar kasadiyo se rabab ye kehti hai khali hai jhoola asghar kazehra ke bayn ye kehte hai abhi hai husain mera pyasaFaryad karo..(6)8. Akbar ke jigar me barchi ha hai teer gale me asghar kezinda me sakina ro ro kar baithi hai paas abhi darr kejab yaad karo us zinda ko jis waqt bhi do unko pursaFaryad karo..(6)9. Lagta hai ye sadiyo baad qamar zinda me sakina roti haikaano pe hai haath rakhe uske yu qabr ke andar soti haiazaad sakina hojae aajae agar mere maulaFaryad karo..(6)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.