Rokey karti thi ye faryaad sakina' babaPaani baad aapkey dushwaar hai peena babaMujhsey milney ke liye aaye ho ek saal ke baadKya na yaad aayi tumhey baali sakina' babaMy zaraa deyr bhi panjo'n pey chalii naa babaKheenchta aakey rasan shimr kameena' babaOonth se raah mey zaalim ney giraaya mujhkoDekhiye zaqmi hai kitna mera seena' babaAap kehtey they jisey dil ka sukoo'n Jaan e jigarUsko ab maarta hai shimr kameena', babaChotey ruqsaar merey, haath badaa zaalim kaSocho baad aapkey kya mera hai jeena babaKabse rorokey yuhi qaak pey sojaatii hoonHai kahaa'n soney ko ab aapka seena' babaAap maarey gaye, my qaidi bani, shaam chaliiRaas aaya na moharram ka maheena' babaZaqmi sarr dekh ke pehchaan lo haalat meriKhoon hai yaa ke hai maathey pey paseena' babaKhoon kaano'n se merey paav talak Jaa pahunchaShimr bey rehmi se jab baaliyaa'n cheena babaAapka naam liya jab bhi, tamaachey khaayiTumpey roney ki ijaazat bhi milii naa babaLaut'tey ghar ko parindo'n pey nazar jab bhi gayiiYaad aaya hai bohat mujhko madeena' babaAapkey sookhey labo'n par Jo chadii dekhi thiTabsey beykaar huwa mera ye jeena babaKhaid khaaney mey bapaa hogaya maatam *"Gaazi"*Jabkey qaamosh huwi kehkey sakina' baba
Faryaad E Sakina
Anjuman E ZAINABIA · 2023
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.