Bimaar Naatawaan Hai Sajjad (as) Ko Na Maaro....Roti Rahi Zainab (sa) Kehti Rahi Zainab (sa) ....Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi-Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi.....(x2)Mere Bimaar Ko Qaidi Na Banaaye Koyi-(x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Aable Paaon Me Hain Khaar Bhara Rasta Hai-Haaye Sajjad (as) Ke Peiron Se Lahu Jista Hai-Kya Khata Hai Iski Boliye B'inte Ali (as) -Kyun Jafaa Ham Pe Huwi Kehke Zainab (sa) Royi-Kya Khata Aale Nabi (as) Ki Hai Bataaye Koyi-(x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Shimr (la) Ne Itne Sakina (as) Ko Tamaache Maare-Gaal Us Phul Si Bacchi Ke Hain Zakhmi Saare-Uske Gauhar Bhi Chhine Khun Kaanon Se Bahe-Kaise Ye Zulm Sahe Kis Se Faryaad Kare-Shimr (la) Se Baali Sakina(as) Ko Bachaaye Koyi- (2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Be Khata Qatl Huwa Haaye Mera Maajaaya-Zaalimon Ne Use Ek Bund Bhi Paani Na Diya-Itna Sukha Tha Gala Jispe Khanjar Na Chala-Ek Qayaamat Thi Bapa Kaamp Uthi Arze Bala-Sare Shabbir (as) na Neze Pe Charhaaye Koyi- (x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Shaam Se Saaniye Zehra Ki Sadaa Aati Hai-Bhaayi Baazaar Me Zainab (sa) Ko Haya Aati Hai-Utho Abbas(as) Kahaan Suno Zainab (sa) Ki Fugaan-Bhaayi Do Aa Ke Amaan Mera Dushman Hai Jahan-Kehdo Behna Ko Teri Ab Na Sataaye Koyi- (x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Chaadare Ehle Haram Luti Sitamgaron Ne-Baandhi Shaanon Me Rasan Shaam Ke Khunkhaaron Ne-Sar Jhukaaye The Haram Aankh Ashkon Se Thi Nam-Har Taraf Chaaya Tha Gham Kitne Majbur Tha Hum-Mein Sadaa Deti Thi Chaadar To Mangaaye Koyi- (x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Haaye Zainab (sa) Bhare Darbaar Me Jaaye Kaise-Sar Pe Chaadar Bhi Nahi Mun Ko Chhupaaye Kaise-Waqt Ye Ham Pe Paraa Koyi Yaawar Na Raha-Hai Sitam Had Se Siwa Sirf Aahad Hai Bacha-Aur Atfaale Nabi (as) Ko Na Sataaye Koyi- (x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2Jab Bhi Aabid (as) Ki Musibat Ka Khayaal Aaye Raza-“shadman” Gham Se Kaleja Mera Phat Jaayega-Nauha Har Waqt Likhun Naame Sarwar(as) Me Marun-Gar Lahed Me Bhi Rahun Maatame Shaah (as) Karun-Ay Raza Nauha E Sarwar(as) Jo Sunaaye Koyi-(x2)Durre Aabid (as) Ko Mere Na Lagaaye Koyi....x2
Durre Aabid ko mere
Shadman Raza · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.