Jissey dunya mey rahey aap Jo beyzaar HusainUssey Allah bhi hojaayega beyzaar HusainBass dhadaktaa huwa ek cheez kahaa jaayegaTum nahi Dil mey to Dil rehkey bhi Beykaar HusainEk farishtey Ney ye fitrus se kahaa jaldii karChal zamee'n par ke Tera aaya madadgaar HusainKarkey aaya Hoon abhi aap ka maatam maulaHo nahii paaunga ab my kabhi beemaar HusainBam dhamaako se julooso mey Jo hotey hai shaheedZinda rehtey hai Wo markey bhi azadar HusainKarkey inkaar sitam zaado'n ki bayyat ka sawaalMurda zehno ko kiyaa aapney beydaar HusainApni jaa'n aap pey sau baar karengey qurbaa'nKehrahey they shab e aashoor ye ansaar HusainApney maadar ka bandhaa maathey pey uskey roomaalKaun keh paayega ab hurr ko gunahgaar HusainNaaz kartey hai Terey Gaazi pey har eak rasoolSabko miltaa hi kahaa aisa wafaadaar HusainWaah shabbir merey laal jiyo tum kehkarDaad detey hai tumhey Hyder e Karrar HusainLaakh dhoondey to bhi saanii nahi milpaayegiDo jahaa'n se hai niraalii Teri Sarkaar HusainKarbala maa ko liye "GAAZI" Chalaa aayegaIzn dedo ke karey aapki deedaar Husain
Do Jahaa'n Se Hai Niraali Teri Sarkaar Husain
Gaazi Abbas Zainabi · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.