Dare Zahra ko musalman Jalane aaye...Is Tarah azr Risalat ka chukane aaye...1)Jiske aagan me bhi quraan ki aayat hai Pali...Jiske hujre me raha karte thy Hasnain o Ali...Qalmago aesi jagah Aag lagane Aaye...Dare Zahra ko musalman Jalane aaye...2)Gir gaya pahlu pe darwaza hua Dard shadeed...Pasliya'N toot gayi ho gaye Mohsin Bhi shaheed...Fir bhi kyu ahl e madeena na bachane aaye...Dare zahra ko muslman Jalane aaye...3)Karbala pahle Bhi ek shaam e gariba'N aayi...Jisme qaidi thy Ali bint e nabi ghabrayi...Sab tamashai thy lekin na churdhane aaye...Dare zahra ko muslman Jalane aaye....4)Bhare darbar me zahra ko Faramosh kiya...Bewajah shabbar o shabeer ko Khamosh kiya...Jab wasiyat ko payamber ki dikhane aaye...Dar e zahra ko muslman Jalane aaye....5)Mere moula ko koi shakhs na Karta Tha Salam....Kya gareebi thi ke jawza Se ye kahta tha imam...Jo Bhi pass aaye mere Sirf Rulane aaye...Dar e zahra ko muslman Jalane aaye....6)Haay Ummat ne muje din Bhi ye Kya dikhlaya...Marsiya fatema Zahra ke Labo'n par Aaya..Teri Zahra ko musalman Satane aaye...Dar e zahra ko muslman Jalane aaye...7)Kis liye Asmee ki aankho se na dariya utrey...Is qadar fatema Zahra pe masayab guzre...Kya qayamat hai ki rauza Bhi girane aaye...Dar e zahra ko muslman Jalane aaye...Is Tarah azr Risalat ka chukane aaye...
Dar E Zahra Ko Musalman Jalane Aaye
Asmee Kanodari · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.