Alam jo darya se aata hua dikhai diyaSakina dar pe jo pohnchein to baap ko dekhaYe ro ke bachi ne poocha kahan hain mere chachaAlam Sakina ke haathon mein deke Shah ne kahaAlam badha do Sakina, chala gaya AbbasHussain ho gaya tanha, chala gaya AbbasYaqeen aata nahi tha ke mar gaya GhaziMain thapthapata raha uske gaal, aye betiMagar Hussain ki us waqt aas toot gayiJab aa ke maa ne bataya, chala gaya AbbasSakina paani se kis ki nazar utaarogiTum ammu jaan kise keh ke ab pukarogiWoh yaad aayega jab Shaam tum sidharogiNahi milega dobara, chala gaya AbbasPohanch ke darya pe mashkiza jab bhara usneSakina yaad teri pyaas ko rakha usneTha uske saamne paani, nahi piya usneTumhari tarah se pyaasa, chala gaya AbbasKisi ne gurz jo maara to woh sambhal na sakaKatte the haath, sahara woh kis tarah letaZameen pe aise gira, zakhmi ho gaya chehraDobara uth nahi paya, chala gaya AbbasKahan kahan use royi hai meri tanhaiKahin badan tha, kahin haath kya ghadi aayiBikhar gaya mera battis saal ka bhaiPada hai dasht mein laasha, chala gaya AbbasJawan bhai ka mar jaana sakht manzil haiMain kaise zinda hoon yeh jaanta mera dil haiMagar Sakina yeh ek kaam sab se mushkil haiTeri phuphi ko batana, chala gaya AbbasLaga hai haath pe jo khoon, yeh usi ka haiTha uski aankh mein jo teer, maine kheencha haiWoh jaanta tha mere dil mein kya tamanna haiPukaar kar mujhe Bhaiya, chala gaya AbbasZameen pe girne se dandan uske zakhmi theKate the hont, badan choor choor zakhmon seTum aise haal mein Ghazi ko dekhti kaiseJabhi to ghar nahi aaya, chala gaya AbbasGhadi woh aayi thi Zeeshan aur Raza kaisiKaha yeh khemon mein jab Shah ne mar gaya GhaziGiri zameen pe ghash kha ke bibiyan saariKoi bhi sun nahi paaya, chala gaya Abbas
Chala gaya Abbas (a.s)
Syed Raza Abbas Zaidi · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.