Salamay aakhri tumpar behan zainab khudahafizKaha shabbir nay rokar behan zainab khudahafiz1.Hawalay ab tere behna ye sab ghar daar aur kunba,Safar hai ye mera aakhir, behan zainab khudahafiz2.Mera akber mera abbas, nahi ab koi mere paasSidharay sab sooye kausar, behan zainab khudahafiz3.Layee ye shaam o koofa kay , hai mere khoon kay pyaaseHazaron tegh mera sar, behan zainab khudahafiz4.Abhi kuch der may behna qayamat hoyegi barpaLutega ghar khulega sar, behan zainab khudahafiz5.Kaha zainab kay ab dilbar, kaha hai qasimay muztar,Kaha akber kaha asghar, behan zainab khudahafiz6.Zamee ko zaljala hoga falak se khoon barsegaKatay jab tansay mera sar, behan zainab khudahafiz7.Sitamgar aaga laayengay nabi ka ghar jalayengayNaya hai har qadam mehshar, behan zainab khudahfiz8.Tamachay khaa kay royegi sakina laadli meriDilaasa dena tum khwahar, behan zainab khudahafiz9.Aye momin aasma gham ka nabi ki aal par tootaChalay kehtay huwe sarwar, behan zainab khudahafiz.
Behan zainab khudahafiz
anjuman · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.