Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Bas Thodi Der Aur

Hashmi Sisters · 2021

Jab ho chuke shaheed Shanshah e KarbalaNanhi si ek yateema ka kurta bhi jal gayabacchi ko yaad baba ki jis dam rula gayiBaaba.. Baba pukaarte hue maqtal mein aa gayiAwaz di sakina s.a ko Maula Hussain neIlayya Ilayya Sakina SakinaYe baba se ro kar pukari hazeenaSeene pe sona chahti hu mai baba(Bas thodi der aur —2)Kuch aaj zyada... thak si gayi hu mai babaSeene pe sona chahti hu mai baba(Bas thodi der aur —2)1) Ye shaam e ghareeba hai babaEk zulm ka toofaan hai baaba(Wehshat ka saamaa hai baba —2)Jungle ke andhere, mein sehmi hu mai baaba2) Kyu zaalim mujhko sataate haiKyu maarke mujhko rulaate haiDaaman mein aag lagate hai 2—Ab aapke paas, aake chupi hu mai baaba3) Aagosh mein sab ke rehti thiAmmu ke saaye mein palti thi(Paidal bhi kaha mai chalti thi —2)Haye daud ke kitna, aaj chali hu mai baba4) Mujhko nahi apni pyaas ka ghamTadpaata hai khaali ek alam(Asghar ko lagaya teer e sitam —2)Bhaiyya ko apne,dhundh rahi hu mai baba5) Baaba chaadar bhi cheeni gaiRoti hai amma aur phuphiAb apna nahi monis koi 2—Dekho kitni aafat mei padi hu mai baaba6) Bhai hai kabse gash mein padeAb kaun hai sabke hai laashe(Phir shimr kahi naa ajaaye —2)Ye soch ke har dam, darti hu mai baba7) Aye baba zara aankhe kholomein kab se bulaati hu bolo(Sath apni sakina ke solo —2)Phir kaise miloge, soch rahi hu mai baba8) Ye Hashmi benno ki hai sadaJaari rahe yunhi rasme azaUsko hai Nigar apna pursaJo kehti rahi, naazo ki pali hu main BabaSeene pe sona chaahti hu mai baba(Bas thodi der aur —2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.