Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Barchi nikaal lu

Imran Mehdi · 2013

Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..Ye keh k aasmaa'n ki taraf ek nigaah ki..Farmaaya ay Khuda mere Maalik mere Wali..Wo taab-e-sabr de k naa tadpu'n naa kuch kahu'n..Seene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)1) Barchhi k saath mere jawaa'n laal ka jigarKhichkar nikal bhi aaye to nazro'n ko pherkarShukr-e-Khuda mein khaak pe sajda adaa karu'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)2) Abbas(as) bhi chale gaye Qaasim(as) nahi raheItna to hausla mujhe Parwardigaar deTanha jawaa'n laal ki mayyat utha saku'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)3) Barchhi mai is tarha se nikaalu'n k khaak parTadpe naa dard se kahi'n mera jawaa'n pisarBadle mein chaahe khaak pe sau baar mai giru'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)4) Naana se apne waada nibhaane ka waqt haiZakhmo'n pe zakhm dil pe ye khaane ka waqt haiLekin ye marhala bada mushkil hai kya karu'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)5) Beta hu BuTuraab(as) ka hu khoon-e-Haideri(as)Laa raib mere jaisa nahi hai koi jariLarza hai phir bhi haath agar sochta bhi huSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)6) Mujhko ye fikr hai kahi'n Zainab(sa) na dekhleKhaime se bain karti naa Laila nikal padeBarchhi nikaalte hue aawaaz kisko du'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)7) Chehra Najaf ki samt kiya aur ki fughaa'nMushkil kushaaye aalaami'n baba ho tum kahaa'mImdaad aap kijiye mai Ya Ali(as) kahu'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)8) Tasweer mere Naana ki farzand hai meraPyaasa hai teen roz se seena bhi chhid gayaDo ghoot apne chaand ko paani mai laake du'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(2)9) "Salman Azmi" koi tehreer kya kareBarchhi pe haath rakh k jo Maula(as) tadap gayeRokar kaha Khuda mere mai surkh ru rahu'nSeene se apne laal k barchhi nikaal lu'n..(3)..............Shukr-e-Maula(as)..............

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.