HaayeBaba Sakeena yateem Hogayi (4)Ye Shame ghariba'n qayamat huwiTamache lage sar se chadar chihniKoi khaima baba na baqi rahaKay mein aasra dhoondti reh gaeeHar gam tumko sada meine diBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Na pucho Kay kaise ye daman jalaNa pucho ye khoo'n kaise jari huwaBadan kaise Qasim ka chahlni huwaChihda kaise Asghar ka nazuk galaPoochoh na kya kya musibat padiBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Bayan kya karooñ baba wo saqhtiyaa'nKay mere gale mein bandhi reesma'nKisi ne bhi mujhpar na khaya tarasLayee'n khoob dete rahe jhidkiyanMuqaddar pa apne mein roti rahiBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Wo dushwaar raste khatin marhaleJahan har qadam par tamashayee thaiShamjhte hamara wo kya martabaHame baaghi kehkar wo haste raheMagar bad'dua meine hargis na kiBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Wo bemaar bhaiyya mera natawa'nPahen kar jo chalta raha bediyaa'nYe kehta raha ham hain aale ebaNa dekho ye zehra ki hain betiyaa'nKamar uski aey baba qam hogaeeBaba Sakeena yateem Hogayi(2)Huwa raah mein taiz jab qafilaToh naqe pa mujhse na sambhla gayaKaeyeen baar mein khaak par gir gaiyeHar ek baar aagosh mein le liyaBaqqaiyya se aati thi dadi meriBaba Sakina yateem Hogayi (2)Sitamgar kay darbar mein jab gayeTo aey baba ghanton khade ham raheHuwa meri ghairat ka phir imtehaañSada kisko deti bulati kiseeMein baba kaneezi mein maangi gaeeBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Tumhare bina baba kyun kar jiyunYateemi kay taane mein kyun kar sahunDarate andhere hain zindaan kayMein zinda'n mein kya apna dam tod dunKay ab khaak hai ye meri zindagiBaba Sakeena yateem Hogayi (2)Aey Qaisar likho shaam ka majeraAey Shozab padho tum ye noha sadaSakeena ko baba ka sar jab milaTo mooh rakh kay baba kay mooh par kahaBaba Sakeena yateem HogayiBaba Sakeena yateem Hogayi (5)
Baba sakina yateem hogayi
Shozab Abbas · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.