Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye raat na dhalna

Nasir Zaidi · 2009

ay raat na dhalna ke ujar jayegi zainabbhai se dam e subh bichar jayegi zainabay raat na dhalna ke ujar jayegi zainabsone de sakina ko ke phir so na sakegirona bhi jo chahegi to phir ro na sakegiasghar se mulakaat to phir ho na sakegiay raat na dhalna....ghabraye huye laal hai sehmi hui mayeinjee bhar ke mai de lon ali akbar ko duayeinlena hai abhi aun o mohamad ki balayeinay raat na dhalna....ae raat bikhar ja tere bas may ho jahan takmit jayenge kal aal e payamber ke nishan takbaaqi hai yeh manzar ali akbar ki azan takay raat na dhalna....har chand se bachon ki abhi pyas hai baaqikuch aankh may hasrat hai to kuch aas hai baaqilekin mera bhai mera abbas hai baaqiay raat na dhalna....baaqi hai abhi aal e muhamad ka safeenabeti ke sulane ko hai shabbir ka seenajhoola ali asghar ka jhulaati hai sakinaay raat na dhalna....kal kaun sunega ye meri aah o buka bhihoga tahe khanjar mere bhai ka gala bhikhema to kuja sar pe na hogi ye rida bhiay raat na dhalna....ae raat ghadi bhar ko tu rehne de sakoon mayghir jayenge nasir mere aada ki safon mayyeh chand se chehre to naha jayenge khoon mayay raat na dhalna....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.