Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye musafir

Nadeem Sarwar · 2016

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Alwida, alwida, alwida..(4)Aye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrataMai musafir shaam ki hu, dushmano mein beridaAlwida, alwida, alwida..(2)Ae musafir..1. Boli zainab, ae mere maa jaye ye kya haal haikaise pehchanu tera laasha bohot pamaal haiaah re anta akhi kya, hai tu hi bhaiyya meramai musafir shaam ki hu,.....2. Kya tumhi ho ibne zehra, kya tumhi ibne alikya tumhi bhai hasan ke, aur jaane zainabiae gule baagh e mohammad, haal ye kya hogayamai musafir shaam ki hu,.....3. Na rahi nalayn, na malboos, na dastaaar haiae ghareeb e fatima, tu khuld ka sardaar haiae tane uryaa'n tera to, aaj sab kuch lut gayamai musafir shaam ki hu,.....4. Mai rasan basta chali, waada nibhane ke liyeghar me qatil ke teri, masnad bichane ke liyekal yahi masnad banadungi, teri farshe azaamai musafir shaam ki hu,.....5. Bhai, amma, aur nana ka, padar ka waastabaat kar mujh se baradar, kholde aankhein zaradekh to chehra behan ka, kis qadar murjha gayamai musafir shaam ki hu,.....6. Laasha e besar tadapkar ye sada dene lagaae behan waada nibhake, mai to maqtal se chalathi sadaa rehan o sarwar, haaye khwahar alwidaMai musafir shaam ki hu, dushmano mein beridaAye musafir, be kafan tu, khaak par wa hasrataMai musafir shaam ki hu, dushmano mein beridaAlwida, alwida, alwida..(4)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.