Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye momino sunata hu

Meesum Abbas · 2009

Suno suno ...x6Ay mominoAy momino sunata hu purdard waqea Dulha bana jo Hazrate Shabbar ka ladla...x2Ashur ki woh shab woh qayamat ki thi ghadiIbne Hasan ke hath me mehndi rahi huiSehra the sar pe Nadeali ka tha jahuaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino...Itna haseen lagta tha woh noor e pairahanSehre me aftabe imamat ki woh kiranAankhe sitara jaisi thi chehra tha chand saAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Behno ne sar pe dal ke aanchal balayein liSab bhaiyon ne pyaar se badhkar duayein diSaya alam ka karte the Abbas e bawafaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Ashkon ke phul goondke maa ne kaha pisarAye lal mera sharm se jhukne na paye sarRangeen tere khoon se ho jase KarbalaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Bola Hasan ka lal meri bhi hain aarzuBakhte jidal pehle hamara bahe lahuIzne jihaad dete nahi hain mujhe chachaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Amma hame chacha se paye shere kibriyaIzne jihaad aapki dilwaiye chachaYaad ayega laeenon ko khaibar ka maarkaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino. ...Maa ne kaha ki mai to bohot arz kar chukiIbne Batool sunte nahi ilteja meriTum khud hi jaake unse kaho apna mudda'aAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino ....Qasim ne maa ke hukm pe sheh se basad bukaHathon ko apne jodke rote huwe kahaIzne bigaa yateem ko de Shahe KarbalaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino ...Bole Hussain tum to nishani Hasan ki hoAye laal mujh gareeb ka tum imtehaan na loTum mar gaye to kaise jeeyega yeh gumzadaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Taweez ek baazu se Qasim ne kholkarMaula Hussain ko diya qadmon pe rakh ke sarTaweez me payame Hasan tha likha huaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Amma ki jaan bhai ke kalbo jigar HussainKarbobala me fidya hain mera yeh noor e ainQasim ko dena izne wiga hukm hain meraAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Tehreer padhke ro diye mazlume KarbalaSar ko jhukake izne wiga deke ye kahaPardes me hamara muqaddar bigad gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....Izne jihaad milte hi Qasim hue nihaaPharte khushi se ho gaya chehre ka rang lalDulha kamar ko kasske paye jung chal diyaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino ....Sehra tha sar pe hath me kangna bandha huaDulha jo qatlgah ki janib chal gayaKhaymon me shahe wala ki kohram mach gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Hamla kiya Hasan ke pisar ne kuch is tarhaApne hadap se sher jhapatta hain jis tarhaTalware apni fek ke chupte the ashkiyanAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....Arzak ke char bete tahe tegh kar diyeHadde nigah raste lashon se bhar diyeQasim ko daad deta tha maidane KarbalaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino...Woh kamsini woh bhook woh garmi thi allamaWoh pyaas thi ki khushk thi masum ki zabanKamsin Hasan ka pyas se behal ho gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Hauje udoon maa ka ganimat ka jankarGhera Hasan ke laal ko talware tankarHamle pe hamla charon taraf se kiya gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....Aakhir ko dashte garm pe woh gulbadan giraAwaz di Hussain ko jald aiye chachaAaka gulam aapka ghode se gir gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Daude Hussain Akbar o Abbas bhi chaleBhaage sipahi shaam to ghode pe dab gayeLaasha Hasan ke lal ka pamal ho gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....Sar tha kahi toh hath kahi aur badan kahiTukdon me bat gaya tha woh Farwa ka nazneenDulha ka qatlgah me lasha bikhar gayaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino....Daaman me apne lash ke tukde Shahe hudaChunte the aur kehte the aye mere mehlakaDulhan se teri jake kahega Hussain kyaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....Mesum tadap ke reh gaya Rehan ka kalamNauha Hasan ke lal ka jis dam kiya rakamHar ashk dulha dulha ki deta raha sadaAye momino sunata hu purdard waqeaAye momino.....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.