Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aye imam e raza

Ameer Hassan Amir · 2017

Ya Imam-e-raza, ya Imam-e-raza, Aye shahenshahe khurasaan,Ya Imam-e-raza, Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik.Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2Bekasi keh rahi hai mayyat per, warise karbala salam-o-alaik.Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *21- Ho raha hai fiza me gham mehsoos, bujh gaya aftab-e-shehre toos,Aasmano se aa rahi hai sada, nayab-e-mustafa Salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *22- Chha rahi hai udasiyan hersoon, aur tapakte hain aankh se aasoo,Sari duniya me ek talatum hai, deen ke nakhuda salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *23- Qalbe kaunain para para hai, tumko zehre dagha se mara hai,Aye ghareebul watan salam-o-alaik, Aye aseere jafa salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *24- Shahe aali muqam ka taboot, uth raha hai imam ka taboot,Apna sar peet ker janaze per, keh rahi hai qaza salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *25- Maut per aapki imam-e-mubin, keh rahe hain ghareeb aur miskeen,Ho gaye aaj besahara hum, kul ke hajat rawa salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *26- Utra utra hai raat ka chehra, zard hai kayenaat ka chehra,Zeher ki kaifiyat hai saanso me, tajdare wafa salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *27- Kaisa ranjo malal ka din hai, noor ke inteqal ka din hai,Aaj dil ki hare k dhadkan se, aa rahi hai sada salam-o-alaik..!!Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *28- Mere maula qubool farmana, leke kuch aasuon ka nazrana,Pursa dete hain aamir-o-akhter, naazishe ambiya salam-o-alaik.Shore matam hai Sogwaron me, aye Imam-e-raza salam-o-alaik *2Aye imam-e-Raza Salam-o-alaik *2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.