Ashor ka din dhal Gaya shame ghariban agayeeTashna labi se khoshk tha pyaase musafir ka gala,Larze zameen o aasmaan jab shimr ka khanjer chalaa,Mazloom ki ghardan katiii har simth se aaandhi chalii,Naize pe sar sheh ka chadha ayee sadaa e karbala,ASHOOR KA DIN DHALGAYA, SHAAME GHARIBAN AAGAYEE,AAYE NA SHA HE KARBALA SHAME GHARIBAN AGAYEE..Ashur ka din dhal gayaa...1) larzi Zamin kaanpa falak barsa lahoo roye malak-2Sar shah ha ka jab katt gaya shame ghariban agayee,Ashur ka din dhal gaya...2) Moqtal me hain tarikiyan sehmi howi hai bibiyan-2Kije madad ya murtazaa, shame ghariban agayee,Ashur ka din dhal gaya...3) shimre layin k khaoof se bachchon k dam ghuttne lage-2Maaoon me hai aahoo bukaa, shame ghariban agayeeAshur ka din dhal gaya..4) Apna watan hai aur na ghar jaaye Sakina ab kidhar-2Har ja andhera cha gayaa shame ghariban agayee.Ashur ka din dhal gaya...5) Ghar jalgayee bazu bhandhe daman jala gauhar chine-2Kaano se qoon behne lagaa shame ghariban agayee.Ashur ka din dhal gaya...6) zalim ne bistarr kheench kar aabid ko baydi daal karr-2Bandha Sakina ka galaa shame ghariban agayee.Ashur ka din dhal gaya...7) sarwar nahin ghazi nahin Aun o Mohamed bhi nahin,Zainab howi be aasiraa shame ghariban agayee.Ashur ka din dhal gaya...8) Jisdam MUQARRIB aur MUJEEB pahunche hain rooze k khareeb-2Aati rahii paiham sadaa shame ghariban agayeee.Ashur ka din dhal gayaa shame ghariban agayeeeAaye na sha he Karbala shame ghariban agayee........
Ashor Ka Din, Shame Gariban Agayee
Muqarrib Raza · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.