Zainab ke baazuo’n mein rasan dekhne chaloAmma lahu luhaan chaman dekhne chaloGathhri mein baandh laaya nishaani main bhai kiPaamaal laash e Ibn e Hasan dekhne chaloAmmu na paani chaahiye, bus laut aaiyyeMushkil mein hain garib e watan dekhne chaloKis tarah ye ga’nwaara ho gairat ko bhai kiKhaimo’n ki paasbaa’n hai bahen dekhne chaloBachcho’n ki aas tha wo gharaane ka chaand thaOos chaand pe bhi aaya gahen dekhne chaloChhey maah ke pisar ko main kis tarah izn doo’nMaa ka nahi’n samhalta hai man dekhne chaloAa mere laal teri balaaein utaar loo’nWaheshi darinde aur ye bun dekhne chaloAaye qaraar kaise laeeno’n mein ghir gayaMasoom mera tishna-dahan dekhne chaloBeta Abu Turaab ka be-gor o be-kafanUdd udd ke khaak banti kafan dekhne chaloHote hi shaam qaid mein masoom qaidi koReh rehke yaad aaye watan dekhne chaloWaada hai Sayyada ka ‘Salim’ bakshwaaegiMehshar mein aa’nsuo’n ka chalan dekhne chalo
Amma lahu luhaan chaman dekhne chalo
Anjuman e Mohibbane Hussain · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.