Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Amma kaha gaee

Imran Datoo · 2018

Hasnain ke labo pe, thi har dam yahi sada, amma kahaa gayeeBaba ali ye kaisa, sitam ham pe hogayaAmma kahaa gayee1. Fizza khamosh kyu(n) ho, bataao hai maa kahaa(n)Tum ro ke ham ko yu(n) na rulaao hai maa kahaaVeeraan ghar mein kis liye, maatam hai ye bapa2. Awaaz kyun hame nahi deti jawaab doAakar balaae(n) kyun nahi leti, jawaab doLiptaati kyun nahi hame seene se sayyada3. Kyun ashk pochti nahi aakar hussain keAmma kahaa chali gayi shabbar ke bayn theGul markaze rasool ka kyun hogaya diya4. Koi hame bataaye hai kya sakht waaqiyaAmma dikhaayi deti nahi maajra hai kyaTareekh ho raha hai jahaa(n) wa musibata5. Shere khuda ne bacho(n) ko lipta ke ye kahaDuniya se kooch kar gayi maa gham ki mubtilaKaise jawaab de tumhe bacho(n) sawaal ka6. Matam ali ke ghar me bapa tha batool kaHasnain padh rahe the ye mayyat pe marsiyaAmma jawaab do tumhe bacho(n) ka waasta7. Qaiser ye kis tarha se likhe waqiya koiBande kafan batool ka khulta tha us ghariJab roke puchta tha ye zahra ka ladla

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.