Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Amma gawah rehna

Syed Raza Abbas Zaidi · 2015

Haaayee hussain bewatan (2) khanjar tale hu pyaasa,  bhai raha na beta ,ay waarise rukaiya nana se jaake kehna , maine nibhaya waadaaAmmaa…..haaayeAmma gawah rehna (6)Khanjar tale bhi dekho sajde me sar hai meraNau laakh  qaatilo ne tanha samaj ke gheraWada nibha raha huAmma gawah rehna (4)Che roz ho gaye hai mujhe paani na milaAkbar ki naujawaani ,asgar ki bezubaaniSehra me kho chukka huAmma gawah rehna (4)Tiro ne chhaan daalaa , amma mere badan koKitna garib hu ab mohtaaj hu kafan koHalat baadshaah huAmma gawah rehna (4)Jalti hui zaameen par tiro ka hai bichonaIs haal me na dekhe mujhko meri sakinaTiro pe so raha huAmma gawah rehna (4)Kuch der pehle amma asgar ko dafn karkeBano ko jab khabar di , ankho me ashk bharkeKhud laash ban gaya huAmma gawah rehna (4)Sine se naujawan ke kaise nikaale barchiBarchi ke saath amma , meri bhi saas tutiBinaai dhundta huAmma gawah rehna (4)Aap aye hai sunaane , naade ali sunaaneMujhko talab kiya hai , amma mere khuda neJaake me jaa raha huAmma gawah rehna (4)Rehan aur raza ki jo naukri hai ammaZakhmo ka tere marham nauha jari hai ammaMai unko chahta huAmma gawah rehna (4)Haaaye hussain bewatan (2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.