Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Allahu akbar

Irfan Haider · 2007

Allahu akbar[Allahu akbar Allahu akbar] ×2[Subhe aashoor zara sun azaan-e-akbar hai] ×2Laila ke phool kishakle rasool kiAzaane aakhir haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[Ashhadu al-la illaha illallah] ×2Bol-e-Hussain sun kar takbeer ki sada koBejang tumne Akbar jeeta hai karbala koLehjaa ye Mustafa ka ab gunjta rahegaJo tere lab par haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[Ashhadu anna Muhammadur rasoolullah] ×2Sar par kafan sajaaye hein sab ba sab namaaziSun kar azaan iqaamat kehne lage hein ghaziHein mutma'in imamat nazdeek hai shahadatYe subhe mehshar heSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2Ashhadu anna Alliyun WaliyullahAshhadu anna Alliyun HujjatullahKya azm hosla hai ansar shah-e-dee(n) kaHe us taraf jafaayein sajda idhar yaqee(n) kaTeeron ka abr barsa jaari hai phir bhi sajdaAjeeb manzar haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar hai[Allahu Akbar] ×2[Hayya Alas Salaah] ×2Jhoole mein sone waala bedaar hochuka heNusrat ko shah-e-dee(n) ki tayyar hochuka heMaa kehrahi hai beta be teygh jang karnaYe hukm-e-maadar heSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[Hayya Alal falaah] ×2Zainab bhi laadlon ko apne saja rahi haiIbn-e-Hasan ko farwa dulha banaa rahi haiNaad-e-ali hai lab par sar par dua ki chaadarYe sheh ka lashkar haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[Hayya Ala Khairil amal] ×2Pyaason ko apni jaanib darya bulaa raha haiLekin har eik pyaasa maqtal ko jaa raha haiNa khof hai na dar hai har ek ko ye khabar haiYe raahe kausar haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[Allahu Akbar] ×2"Rehan" ke qalam se "Irfan" tera lehja,nowho(n) me dhal ke ubhre tute na ab ye rishta,is par dua-e-zehra har dam kiye hai sayaye aisa shaa'ir haiSubhe aashoor zara sun azaane akbar he[Allahu Akbar] ×2[La illaha illallah] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.