Allah ek hay,Panjetan panch hain Imam barah hain Masoom chohda hain..(3)1) Pehlay Imam Ali a.s hain Laqab jin ka Murtaza..(2)aur dosray Hassan a.s hain Laqab jin ka mujtaba..(2)aur teesray Hussain a.s Shahanshah e karbalaMaa Fatima s.a hain jin ki Laqab jin ka Syeda s.a2) Chohtay Imam Ali hain Laqab Zain ul AbideenKehtay hain jin ko Syed e Sajjad Momineenaur ek laqab hay Abid e bemmaar o dil hazeensajjdon say jin kay ab bhi Munawar hay yeh zameen3) Hain Panchway Imam Muhammad hay jin ka NaamBaqar laqab say jantay hain in ko khass o aamhay ilm meray panchway aqa ka bhi Ghulamin ko salam kertay hain jibrail subah shaam4) Hain momino kay Jafar e Sadiq a.s Chatay ImamJin ka kalaam lagta hay Quran ka kalaamsadiq Imam ko tou hay sach bolnay say kaamhay Fiqh e Jafri ki Shariyat inhi ka naam5) Aur saathwain Imam ko Kazim a.s laqab milaMosa hay naam Jafar e sadiq a.s kay laal kaJo apni pori zindagi bus qaid main rahatou qaid ko bhi sahib e Izzat bana diya6) Hain Aathwain hain Imam Hamaray ALI RAZA a.sJin ko Imam e Zamin o Samin Laqab milaRozay main jin kay ek hay darwaza e shifaHoti hay her mareez ko sehat wahan ata7) Apnay Nawain Imam laqab jin ka hay Jawad a.skertay hain jin ko naam e Muhammad Taqi a.s say yaadTaqwa say jin kay haar gai qoum e bad nehadsub nay samjh liya kay kiya hay nafs say jihaad8) daswain Imam jin ka hay ism e jali AliAllah ki taraf say Mila hay laqab NaqiSurat main jin ki baap ka tha husn e munjaliseerat main jin kay ai nazar seerat e Nabi saww9) hain Giyarwain Imam Hassan jin ka naam hayaur Askari laqab hay shah e khass o aam hayyani khudai fouj ka jo intizaam haySab in k hath main hay yeh in ka muqam hay10) aur baarwain Imam zamanay kay tajwaarjo apnay naam say hain payamber ki yaadgaarek wasf main jo wasf e Khuda say hum kinaarparday main hay Imam tou parday main kirdigaar11 )majid hay lab pe barah Imamo ka jo bayanmain is bayan say dehr main rehta hoon shadmaanhota hay ziker Aqa ka meray jahan jahanMola kay sadqay ziker hay mera wahan wahan
allah ek hai panjetan paanch hai
Shadman Raza · 2008
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.