*Alamdare Husain*Baba ki apne pahen ke dastaar aata haiKarne sitamgaro ko wo finnar aata haiGhaazi ko dekh kar yahi kahta tha har aduBhago ke ibne haidare karrar aata haiAlamdar Alamdar AlmadarSani E Ali Maula (2)Madadgare Hussain , hussain , hussainAlamdar e hussain (4)1. Husainy fauj ka salar hai Mera GhaaziAli ke jaisa alamdar hai mera GhaaziMisaale jafare tayyar hai mera GhaaziSamar hai fatima Zahra ki ye duaao kaQasam khuda ye quran hai wafao kaAlamdar E Hussain (4)2. Ali ke ghar me khuda ne ise utara haiQamar hai Hashmi ye panjatan ka pyara haiAbbas zainab o kulsoom ka sahara haiShabihe Shere jali banke aagaya ghaaziAli ke ghar me ali banke aagaya ghaaziAlamdar E Hussain (4)3 .Taharato ne sawara hai parchame abbasDukhi dilo ka sahaara hai parchame abbasHame to jaan se pyaara hai parchame abbasAlam abbas ka chumo to chain milta haiIsi ke saaye me mola Husain milta haiAlamdar E Hussain (4)4. Zabaan khole to guftaar me ali jaisaChale to chaal me raftaar me ali jaisaSabih o qamat o kirdaar me ali jaisaJari hai sher hai kirdaar hai mera GhaaziAli ka hubahu Shahkaar hai mera GhaaziAlamdar e hussain (4)5. Chala jo mashk o alam leke saniye haiderAli ke sher ke dekhe uduu ne jab tewarZamee larazne lagi ashqiya pe chaya darTaraai ne bakhuda pyaas ko salami diHar ek mauj ne abbas ko salami diAlamdar e Hussain (4)6. Labe forat jab aaya ali ka laal jariQadam ukhad Gaye dariya se bhagi fauje shaqiUlat ke naher ko Ghazi ne apni mashk bhariJo Chalti dasht me talwaar ibne haider kiYazeedi fauj ko yaad aati jange khaibar kiAlamdar E Hussain (4)7. Yahi hai har ghadi Jawad ham dua karteHayaat guzre wafadar se wafa karteYe saans toote alamdar ki Sana karteYaqee hai Ghazi shifa'at karega ham sab kiHusain ka ye sahara hai aas zainab Ki
Alamdar e Hussain
Sayyed Ali Muntazir · 2023
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.