Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aksar ye kaha karti thi

Muqtadi Raza Amrohi · 2013

Haye sughra, haye sughrahaye haye sughra..(2)Aksar ye kaha karti thi zindaa'n mein sakinaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)1. Beemar thi tumse ye safar tay nahi hotamar jaati jo tum dekhti akbar ka tadapnain aankho'n ne dekha hai wo barchi mein kalejaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)2. Jo mujhpa guzarti hai bahan mujhko khabar haikya hoti hai gardan mein rasan mujhko khabar haimaara hai badi zor se zalim ne tamachaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)3. Tum dekh nahi sakti thi besheer ki haalatkhud baap ne dafnayi hai masoom ki mayyatphir khod ke turbat ko gala kaata hai uskaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)4. Sar sajde mein baba ka tha gardan pe churi thikuch door khadi meri phuphi dekh rahi thipani na diya shimr ne sukha gala kaataacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)5. Yaad aata hai beemar ko zainab ka uthanadariya ki taraf dekh ke ghazi ko bulanajab sochti hu mu se nikalta hai kalejaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)6. Sar nange phuphi amma ka darbaar mein janazanjeer mein jakde hue mukhtaar ka aanadekha na gaya abid e beemar ka chehraacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)7. Pehchaan na paogi jo tum mujhse milogikya naam hai tu kaun hai mujhse ye kahogiwaise nahi ummeed ke milna ho dobaraacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)8. Sughra se raza haaye na mil payi sakinasab chut ke watan aagaye aayi na sakinamar hi gayi zindaan mein padte hue nauhaacha hua sughra jo tumhe laaye na baba..(2)Haye haye sughra....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.