Akbar-e-noor-e-nazar(Akbar-e-noor-e-nazar) x 4 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar(Akbar-e-noor-e-nazar) x 2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar1.(Jab se juda tum huwe cheyn nahi hai mujhe, Koi nahi hai mera haye sada du(n) kise) x2Chorke maa(n) ko gaye haaye meri jaa(n) kidhar [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar2.(Waqt-e-azaa(n) hogaya jaan-e-pidar lot aa Kab se hu(n) darpar khari aa mujhe surat dikha) x2Dasht-e-bayabaan mei dhund rahi hai nazar [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar3.(Saal tha athharwaa(n) ay mere karyal jawaa(n) Teri dulhan lawungi soch rahi thi ye maa(n)) x2Haaye mere laal ko kha gayi kiski nazar, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar4.[Ranj uthati hu mei ashk bahati hu mei Ab na kabhi aawonge phir bhi bula ti hu mei] ×2Lot ke aajawoge kaash koi de khabar, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar5.[Qalb-e-phuphi ke liye rahat-o-aram the Gulshan-e-madar ke tum laal-o-gulfam the] ×2Sogaye jaakar kahaa(n) khunki-e chashme padar, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar6.[Zindagi bhar ke liye daghe judayi diya Maut se badtar huwa deher mei jeena mera] ×2Maa(n) ko bulalo wahi soye ho beta jidhar, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar7.[Qayd-e-sitam ki taraf meri sawari chali Toot gaye khwaab sab aas bhi tooti meri] ×2Bikhre hai armaa(n) mere aaj to sab khaak par, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar8.(Kya likhu(n) "Rehan" ab saath qalam de na jab Kaise bayaa(n) ho sake dard-o-alam ka sabab) x2Zinda rahe kistarha sarware jinn -o-bashar, [akbar-e-noor-e-nazar] ×2[Akbar-e-noor-e-nazar] ×2 Khaayi sina qalb par Hogaya tukre jigar
Akbar-e-noor-e-nazar
Tejani Brothers · 2008
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.