Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aey Meri Behno Suno

Hashmi Sisters · 2013

Aey meri behno suno,Qoum ki behno sunoMera paighaam suno,Aey meri behno sunoTum … Yaad parday ko rakhoAurton key liye hai hukm e shariat pardaGhour say dekho to hai aiK sa’aadat pardaPoocho quraan say hai tatheer ki ayat pardaBa Khuda Zainab e Muztar ki hai sunnat pardaBibi batlaingee un key liye kya tha pardaSarbarehna theen tou baalon say kiya tha pardaAao manzar main dikhati hun tumhain Yasrab kaAik din Baba say Zainab nay adab say ye kahaHum ko lay chaliye zara Qabr e Nabi par BabaBaad e Maghrib tumhain lay jaoonga bolay MolaDin dhala shaam ki kirnain jo ayan honay lageenBetiyaan Mola ki parday mainnihan honay lageenSar pay maqna bhi rakha orh li Zainab nay abaUs aba nay tab unhain dhaanp lia sar ta paGird dukhtar kay lagay ghoomnay us dam MolaPoocha Zainab nay k kia dekh rahay hain BabaBolay Haider key na parday main kami ho BetiDekhta hoon kahin chadar nahati ho BetiKaha Abbas say Haider nay key tum aagay barhoSab dukaanon kay charaghon ko zara bujhwa doBolay Hasnain say tum behnon ko ghairay main rakhoParda behnon ka banaatay huay sab Bhaai chaloBetiyyon ko meray mola jo yun lay jatay thayAisay parday ka chalan dahr ko sikhlatay thayGird jin aurton kay rahta hai parday ka hisarBarhta hai aisi khawateen kadunya main waqarUn ka hi hota hai zahra ki kaneezon main shumarBay rida ho kay karo apnay amal mat bekarBint e Zahra nay utari na thee khud hi chadarSar e Zainab say basad jabr chinee thee chadarMominaat aaj yahan tum pay koi jabr nahinKoi cheenay nahin lay jata hai chadar bhi kahinSar pay hai Baap salamat to hai Bhaai bhi yahinGhar hain mahfooz jalata to nahin koi laeenTum nay kya samjha hai, Kya Fatima khush hotin hainBe rida dekh kay tum kowo khafa hoti hainKab talak roaingay Sajjad say jab poocha gayaAap key ghar ka shahadat haiqadeemi virsaBolay Sajjad k kia ye bhi hai virsa meraCheena jaey meri Maan behnon kay sar ka pardaChadar e Zainab o Kulsoom ka yoon charcha kiaMola Sajjad ney chalees baras girya kiaVoh jo parday ka chalan dehr ko sikhlaati theeKarbala mein usi Bibi ki ridacheeni gaeePoocho Zainab say kay us waqt bhala kia guzriSarbarehna jo voh Darbar e Shaqi mein aaeeBoli Zainab meray Ghazi say koi farma doHosakay to meray sar key lieychaadar laa doADEEYA, SAANIA, MAHUM suno MAJID ki sadaTum khavateen ko batlaao keykya hai pardaBe ridaaee E haram par jo ho karti giryaLaazmi hai key giray sar say tumharay na ridaDeen kay wastay Zainab nay lutaya pardaSab khavateen ka ta hashr bachaya parda

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.