Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas(As) Ka Chehlum Hai

Anjuman E ZAINABIA · 2021

Farsh e aza bichaao Abbas ka chehlum haiPyaasey ka ghum manaao Abbas ka chehlum hai1) Haashim ka chaand hai ye hyder ka dilruba haiMazloom e karbala ka saalaar e kaafela haiAao Alam uthaao Abbas ka chehlum hai2) Zehra kareygi Shirkat farsh e aza bichaaoPyaaso'n ki yaad mey tum paani pilaao sabkoRasm e aza nibhaao Abbas ka chehlum hai3) Zainab na karsaki thi maatam jo baawafa kaHum karkey aaj maatam zainab ko dengey pursaMaatam ki saff mey aao abbas ka chehlum hai4) Zainab ki hai tamanna Majlis ye aah o zaariMaatam ho sab ke ghar mey Gaazi e baawafa kiAankho'n se Khoo'n bahaao Abbas ka chehlum hai5) Jee bhar ke rosakey na ahley haram jarii koMarham ke waastey kuch ashko'n ke qaafley hoAye roney waalo aao abbas ka chehlum hai6) Hasrat thi baawafa ki koii rahey na pyaasaUskey hi yaad mey tum haatho'n mey lekey koozaPaani yahaa'n pilaao Abbas ka chehlum hai7) Ghodo'n ney jiska laasha' paamaal Kardiya haiKarbobala mey wo jo tukdo'n mey batgaya haiWo waaqia sunaao abba ska chehlum hai8) Paakar rihaayi zainab jab Karbala mey aayiBoli ke bey kafan hai Gaazi mera abhi bhiUspar ridaa udhaao Abbas ka chehlum hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.