Ya husain haay husainYa husain ya husainAna ibnul Abbas - 4Mera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2)Akbar se Mujhe pehle de izne wigha maulaMera naam Mohammad hai Abbas ka hu beta..(2)Ghaazi ki dua mai hu Naukar hu mai asghar kaNaqsha me badal dunga nau laakh ke lashkar kaSiffin sunakar hai..(2)Amma ne Mujhe paalaZainab ke hai do bete sadqa Ali akbar kaDaadi ne madine me mujhko ye bataya thaZainab ke Jo bete hai..(2)Dono ka hu mai sadqaAkbar ki tarah maula qasim mera aaqa haiSehra mere aaqa ka armaane sakina haiMarjaunga jiteji..haay(2)Kubra Jo hui bewaKhaimo me bapa maula ek shor-e-qayamat haiDarya ki taraf jau kya mujhko ijazat haiShehzadi ko ab pyasa..(2)Mai dekh nhi saktaSajjad ke pehlu me khamosh Jo baitha haiWo uski zaifi ka ghurbat me Sahara haiBach Jae mera baqir..(2)Mai uspe Maru maulaQurban hua yawar Abbas ka shehzadaAur shukr ka ghazi ne us waqt kiya sajdaMaqtal se sada aai..(2)Sad shukr mere maulaYa husain ya husain..(2)
Abbas ka hu beta
Shahid Baltistani · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.