Abbas Abbas ! Jaati hai behan ab bepardaSaqqa Saqqa ! Ek pyasi behan ka sar hai khula1. Jab zee’n se gire bin haathon ke, bhaiya mere mun ke bal the padeKarwat bhi badalna mushkil tha phir bhi na kisi se lab kholeHaalat teri dekhen koun bhala saqqa hai behan ko ye sadma2. Jis tarha watan se laaye the ham, waise hee bhala kaise jaayeKya zulm hue chadar bhi chini, kis tarha haram chadar paayenUtho bhaiya utho bhaiya chadar toh dilado aye saqqa3. Aye sher tu kitna pyasa tha, zainab ko teri ehsaas huaAur tashna dahan bhi maara gaya, do ghoont tumhe paani na milaMashkiza chida dil toot gaya, pani nahi tera khoon baha4. Jab tak tu raha zinda bhaiya, nazren na uthata tha koiZehra ki mai beti hoon ghazi, Aa sar pe mere chadar na rahiAa sar pe mere saaya karde, aye bhayi mere phir sojaana6. Thi teri khata bhi koi nahi, aur sar pe tumhare gurz lagaBehne roti hain ye kehkar, bhaiya ko mere kisne maaraSambhla na gaya tum se zeen par, sar khoon me tera doob gaya7. Laaye the watan se jiss tarha uss tarha watan ab pahunchaa doBhaiya meri chadar dilwado mehmil me bhi mujhko bithwadoAbbas mere aa dekh zaraHai teri behen ka shaana bandha8. Kisme yeh bhala jurrat aati jo baandhta shaano mai/par rassiBhaiya mere zinda hote agar chadar na mere sar se hatti/luttiMai saniye Zehra hoo ghaziKis tarha rahoongi beparda9. Rehan o mubarak zainab ka pardes mai yu ghar baar lutaBhaayi pardes mai maare gaye shaana bandha parda luta gayaMoqtal mai chaudha sadi se haifathima zehra par noha
Abbas ! Jaati Hai Behan Ab Beparda
Mir Rehan Abbas · 2022
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.