Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Abbas hamara hai

Nadeem Sarwar · 2005

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Abbas hamara hai[Abbas-e-Ali Aaye Karib-e-Shah-e-Abrrar] ×2Bhayi ko Alam deke kiya sheh ne bohot pyarHas has ke rafiko se ye karne lage guftaar, jaisi ye meri fowj hai waisaa hi AlamdarGazi sa koyi deen ka sardar na hoga, Abbas sa dunya mai(n) alamdar na hogaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2 Hashim ka kamar haider-e-Karrar pyaraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Qur'an-e-wafa sheyr-e-nayafshaan-e-ali hai, Zehra ki tamanna hai dil-o-jaan-e-ali hai, is ke liye bachpan hi se farmaan-e-ali hai, mei ilm ka darya hu ye darya ka kanaraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Paida huwe abbas to gaudi me utha ker, Zainab ne rakha naam kaleje se lagaa ker, chotaa sa alam sheh ne diya unko sajaa ker, dekha jo alam ne to alam khud ye pukaraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Abbas-e-Ali ruh-e-wafaa jaan-e-wafa hai, Abbas-e-Ali fatema Zehra ki duwaa hai, har waqt alam chumti rehti ye hawaa hai, bhulaa nahi abbas ko darya ka kanaraaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Dunya-e Shahadat me kaha(n) uskaa hai sani, jo saare shahido ki safo me raha ghazi, be dast bhi ho ker jo bhare joliyaa(n) sabki, hashim ka kamar sare fakiro ka saharaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Haider ke garane ki sakhawat sakhi abbas, khoone abu talib ki sadakat sakhi abbas, zehra ki duwao ki taharat sakhi abbas, kudrat ne banaya nahi phir aisaa dubaraa.Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Ye panjetan-e-pak ke lashker ka nisha(n) hai, Kehte hai ye Shabbir meraa shere jawaa(n) hai, Aisa koyi dunya me alamdar kaha hai, Shehwan se hai sheh baaz kalandar ka ye naaraaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Lazim hai ke ham dekhe(n)ge ik roza ye manzar, farmayenge jab mehdiyo dora dar-e-mimbar, kabe se namudaar jo hoga mera lashkar, hoga yahi lashkar ka alamdar hamaraa.Sakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Yad ata hai wo rukhsate-e-abbas ka manzar, wo rona sakina ka phareyra ko pakar kar, Wo dekhna Zainab ka kabhi sar kabhi chadar, kehti thi palat aye behen bhayi ka pyaraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Abbas gaye hogaya maula mere tanha, dekha kabhi maydaa(n) to kabhi janib-e-darya, nagaah alam nehr pe girte huwe dekha, Zainab se kaha sheyr gaya nehr pe maraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2Ay "Sarwar-o-Rehan" ye imaan hai apna, Abbas ke parcham ka sada sarpe hai saya, parne ke liye hashr mei Shabbir ka nawha, Abbas bulaayenge hame karke isharaSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x2[Hashim ka kamar] ×2 Haider-e-karrar ka pyaaraSakhi (Abbas hamara hai(n) alamdar hamara) x4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.