Saqqa e sakina sarwar k madadgaar abbas alamdar abbas alamdarAy bazu e shabbir ay sheh k wafadaar abbas alamdaar abbas alamdaarZainab ki khabar lo abbas kahan ho lut ti hain ridaaen deti hun sadaaenAy zaigham e sarwar chaadat k nigehdaar abbas alamdar abbas alamdarKuza liye dar par bethi hay sakina ammu nahi aye kehti hay sakinaHaalat meri dekho aakay zara ik baar abbas alamdar abbas alamdarDarya se palat kar ay mery dilawar aaty nahi q kar ay sani e hyderKhaati hun tamaanchy neelay huy rukhsaar abbas alamdar abbas alamdarJalty huy khemay uth tay huy shu'lay zainab kahan jaye koi ye bataeIs dasht e bala main yawar hain na ansaar abbas alamdarChori na taraai kia hogaya bhai abbas khabar kya tum.nay nahi paaiLuuti gai ban main shabbir ki sarkaar abbas alamdar abbas alamdarKis kis ko sambhaalun dun kis ko dilasy bachy hain abhi tak shabbir k piaasyHy nargha e aada moonis hah na ghamkhwaar Abbas alamdaar Abbas alamdarMatam.karo qaisar noha parho qaisar ashko ki jaga khun aankho se bahaa karMaara gaya piaasaa darya pe alamdar abbas alamdar
Abbas alamdar
Ali Raza Punjani · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.