Khuld ki deed ka jab shauq ubhar aaya haiBas tasawwur me tera rauza nazar aaya haiJaan bhi tujh pe feda dil ye feda hai tujhparIshq se tere duaao'n mein asar aaya haiAaqa-e-Man Qibla-e-Man Jaan-e-Manam Ya Husain(as)1. Tujh sey toheed shanasi ka sharaf paaya heyYe tera ishq hi MOLA mera sarmaya heyTu hi Kaaba hai meraTu hi Qibla hai meraMein hun banda tera Ya Husain(as)2. Tera aashiq hun sar-e-daar ye ailaan karunJaan so baar teray ishq mein qurban karunAaye toofan-e-alamLaakh sehnay houn sitamMai pukarun ga Ya Husain(as)3. Mar k jeena kisay kehtay hein mujhay aata haiMujhko maloom hai takhleeq ka maqsad kya haiMein azadaar teraAy Shahan Shah-e-HudaTu hai meri baqa Husain(as)4. Jab dua FATIMA ZAHRA(sa) ki hai sar par sayaPhir humein khof zamanay ka bhala ho kesa?Tu meray dil ka makee’nShehrag-e-jaa’n se qaree’nWaris-e-hal ata Husain(as)5. Dil kay qirtaas pe hai naam tera harf-e-jaliAy Shahan Shah-e-Zama’n Rab kay wali Ibn-e-ALI(as)Aai mushkil jo kabhiTo parhi Naad-e-ALI(as)Di tujhay hi sada Husain(as)6. Karbala mein wo sitam aur jafa ki aandhiBay kasi tashna labi haaye wo ghurbat teriSeh kay har aik jafaSajda-e-shukr kiaHay tera hosla Husain(as)7. Darmiya’n zeen-o-zamee’n laasha raha hai teraDasht-e-pur haal mein teero’n ney uthaya laashaHaaye khanjar jo chalaPusht-e-gardan sey kataTera sookha gala Husain(as)8. Hai ye Salman pe "Imran" pe teri hi ataDharkan-e-Qalb hoi farsh-e-Aza sey na judaHum ney bachpan se sadaTera maatam hai kiyaLab pe noha raha Husain(as)
Aaqa e mann
Imran Mehdi · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.