Haay..Jab koi qatile shabbir giraftaar huaye khabar sunke koi khidmate maula me gayaashk barsate hue abid e muztar ne kahatune badla liya mukhtaar hai ehsaa teraqalbe zehra ke har ek zakhm pe marham rakhaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(4)1. Aap ke hausle kar dete hai qaumo ko jawaa..(2)aap ke khoon me haider ki mohabbat thi rawaa..(2)aap ke hubb me imraan ka jazba tha ayaaaapke josh pe nazaa hai bohot karbobalaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)2. Aag jo dil me hai us aag ka darya kya hai..(2)ek maula ke azadaar ka jazba kya hai..(2)inteqam e ali asghar ka takazaa kya haiaap ke khoon me tha josh abu talib kaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)3. Aap ko aal e payambar ka tha kitna ehsaas..(2)bhool paye na kabhi aap sakina ki pyaas..(2)pani pite hue thi ek sada ya abbasaap ne daste burida ka liya tha badlaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)4. Rajat e jism e murattab hai wo manzar kya hai..(2)hujjat e asr ki azmat ka samandar kya hai..(2)jiske lashkar me ali honge wo lashkar kya haiwo sadi aaegi mukhtaar the jiska lamhaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)5. Zulm ke daur me mazloom ki taqat mukhtaar..(2)jabr ke saamne inkaar ki himmat mukhtaar..(2)hashr tak dil pe yazido ke hai haibat mukhtaaraap ne laakho jigar chaak kiye hai tanhaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)6. Roz hote hai yaha kitne azadar shaheed..(2)faisla karliya ab zulm nahi sehne mazeed..(2)kaat kar rakhdo azadaar zara nasle yazeedaapke josh se milta hai hame bhi jazbaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)7. Ye to Allah ki nemat hai shahadat lelo..(2)ashk e shabbir se talwaar ki taqat lelo..(2)mat daro hazrat e mukhtaar se himmat lelodaad deti hai inhe roohe shahe karbobalaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)8. Baqi rehta hai abhi jauro jafa ka badla..(2)nauke naiza se chini ek rida ka badla..(2)apni had me jo liya karbobala ka badlainteqam asl me baqi hai abhi waris kaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)9. Ae qamar sog badha chayn dilo ne paya..(2)saamne aap ke jis dum sare hurmal aaya..(2)zere lab jis tarah sajjad ne wo farmayaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiyaaap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya..(2)
Aap ne hazrat e mukhtaar
Shadman Raza · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.