Ho sooz dil main to us sooz ki dawa aansoHayaat ki bhi yehi ban gaya baqa aansoJo poocha apni bhi roodad kuch suna aansoTo be-basi say faqat aankh sa gira aansoHay kaynaat bani jab sa main bana aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoJinnah sa niklay to Adam zameen par ayayKhuda na toba kay Adam ko naam sikh layayKaha Hussain to aankhoon main aagaya aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoGalay main rassi Ali k woh waqt aya thaJala k dar, dil e Zehra ko yun dukhaya thaK ab bhi ankh sa shahyad ho beh raha aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoNa Ma ka ghum abhi bhooli thi Zainab e DilgeerNikalnay paray Taboot say jo bhai kay teerKafan tha Laal ya Zainab ki aankh kaa ansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoBehan K samnay Kat-ta tha haye bhai ka sirBatool khaak uraati theen haye Khool k SirLaho main betay k Zehra ka mil gaya aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoJo ayee Sham e ghareeban to khaimay khali thaySina ki nook pay sir thay, zameen pa lashay thayJalay thay khaimay , lutee chadarain , baha aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoUssay na tooq nay Zanjeer nay jhukaya thaSafar nay sham kay Abid ko bus rulaya thaImam E sabar tha Abid ki aankh ka aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoinsan ki baqa aansoizhar e wafa aansoho sooz bhi jis dil mainus dil ki dawa aansozahra ki dua banker ankhon main raha aansobad e shab e aashora khamioon main baha aansoSajjad ki aankhoon sa khoon ban k gira aansoZainab khulay sir pa qudrat ka gira aansomazloom ka dunia main hathyar bana aansoZahra tere turbat pa aankho sa baha aansoAlam uthatay hain farshay aza bichatay hainKaho Hussain to aankh main ashq aatay hainWohi sabab mere bakshish ka ban gaya aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoAik ahlay bait ka waris janab baqi haiAbhi to zulm ka hona hisab baqi haiHer aik waqt ka, zehra ka jab baha ansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aansoWoh Rizvi aankh sa mehraj per gaya aansoGhum e Hussain main Aey Joan jo baha AansoRoomal Zehra main pata hai who jaga aansoGhum e Hussain main us waqt sa baha aanso
Aansu
Joan Rizvi · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.