Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Aaja Gaazi(As)

Anjuman E ZAINABIA · 2018

Qaafla gyaara Moharram ko rawaana Jo huwaRuqq suye nehr kiye kehti thi zainab dukhiyaaAb to daryaa se zaraa lautkey aaja GaaziGaazi...... Aaja GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja GaaziPaas Bhai hai na betey hai na kunba' GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi1) Aagaye shaam e gareeba mey najaf se babaFaasla chand hi qadmo ka hai mujhsey TeraPhir Bhi aawaaz pey tu meri na aaya GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi2) Shimr jab karney lagaa tann se judaa sheh ka sarrRuqq suye qaima' se wo jaanib e daryaa karkarZeyr e qanjar Bhi faqat tujhko pukaara GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi3) Zaalimo'n Ney terey Shabbir ka ye haal KiyaKaatkar sarr tann e mazloom ko paamaal kiyaaAur phir naizey pey sarr uska chadhaaya GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi4) Raat bhar shimr ke darr se wo na sopaayi thiNeel hai gaal tamaachey Bhi bohat khaayi thiDarti hai baali Sakina usey samjhaa GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi5) Ek sitam ye Bhi huwa baad terey aye GaaziNaa bachi sarr pey ridaa baad terey aye GaaziKar merey sarr pey terey baazu se parda' GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi6) Meri aamad pey na uth'tey they nigaahey jinkeyWo merey saamney aa aakey khadey hai hasteyBangayi bintey Ali aaj tamaasha GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi7) Chaar jaanib hai sitamgaar o darindaan e jafaaKisko roodaad sunaau hai yahaa' kaun meraKoi moonis hai na yaawar hai hamaara GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi8) Paani dikhlaakey bahaaya tha layee'n reyt pey jabHichkiyaa letey huwey jodkey wo dast e adabTujhko detii rahi aawaaz Sakina GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi9) Ek rasan mey hi sabhii shaano ko baandhey hai layee'nOonth ki pusht pey hum sabko bithaatey hai layee'nTerey jaaney se Mera haal huwa Kya GaaziAb to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi10) Karbala mey kabhi Koofey ke kabhi raaho' meyBharey Darbaar mey zindaa' mey ya baazaaro' meyLabb pey zainab ke hameysha tha ye nauha' *"GAAZI"*Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.